शनिवार, 15 फ़रवरी 2014

student ki do rahe...........

Hello friends....

  Aaj hum bat karege carrier ke bare me..jo 15 to 22 ka age time hey na usme aap apna carrier bana bhi sakte ho aur biga bhi sakte ho..kyuki ye vahi time hey jab college me study bhi hoti hey and enjoyment bhi hota hey...mere khayal se student ko ye bhut badi problem hey ki agar enjoy karne jate hey clg life ko toh study me mar kha jate hey aur agar sirf study me dhayan de toh hum enjoyment ko miss karte hey so ek chij ka sacrifice karna hi padta hey ....tab mostly student sochte hey dono sabhal lege  per aisa hota nhi ....kahete hey na kuch pane ke liye kuch khona padta hey...usi tarah nodoubt enjoy karo college life but apne carrier ke cost nhi kyuki ye din vapas nahi milege toh studet khaege ki enjoyment bhi vapas nhi milega per.....agar aapne ye 2-3 year mahenat kar li toh puri jindgi enjoy karoge kyuki aapke pass ek aachi job hogi ....aur agar ye time me enjoy kiya toh puri jindgi mahenat karni padegi ....toh decision apke hath me hey.....


Jyotika  Bariya..

शुक्रवार, 14 फ़रवरी 2014

Jindgi Ka Sach..

Hello Friends...
 
Aaj muje jindgi ka sabse bada sach pata chala ki jindgi me jaisa hum sochte hey vesa kabhi nahi hota ...kabhi kabhi  hamne socha bhi nahi hota vaha  hame success mil jati hey ..aur jaha hum bhut confident hote hey uss jagah per hum dhokha kha jate hey or failure ka samna karna padta hey .. per  uss failure ko pakad ke baithe rahene se kuch nahi hota jivan me hamesha badhte rahena chiye kyuki jindgi aage badhne ka nam hey  mene bhi aaj ek failure ka samna kiya per  muje pata tha ki jindgi me bhut moke aayege  aagar give up hi kar doge toh kabhi kuch nahi kar paoge ... vo khete hey na bhagavan bhi usiki madad karta hey jo khudki madad karta hey.... jo girke khada ho jaye vahi himmatvala hota hey.... isliye DON'T GIVE UP MY FRIENDS......ALWAYS GO AHEAD...........................


Jyotika Bariya

सोमवार, 10 फ़रवरी 2014

mere aaj ka khayal..

meri soch,
muje paheli bar laga aaj ki me jo kuch bhi sochti hu vo khayal muje share karne chiye isliye mene ye meri soch namka blog banaya hey .  aaj kal kisi ke pas kisi ke liye time nhi hota hamesha ghadi ke kante ke sath sabhi dodte rahete  kuch logo ko toh ye bhi pata nhi ki unke padosi kon hey ya fir aaj kal kon si movie nayi aayi hey .... bacche padhai ki tension me maa-papa ko time nahi de pate ya toh fir maa-papa jindgi ki gadi doda ne ke liye baccho ko time nahi de pate ... generation gap isi se badhta hey bacche aur bade dono ki soch me tabhi difference aata hey .... muje lagata hey ki ghar me apne parivar ke liya samay nikalna hi chiye  isse bhut badi badi problems solve ho jati hey.. agar yakin na aaye toh aajma ke dekh lijiye aur ek sukun bhi milta hey apno ke pass baith ke... so, baccho se yahi khena chugi ki maa-baap bhagvan ke barabar hote hey aur maa-baap se khena chahti hu ki bacche phulo ki tarah hote hey  unse itni bhi expectation mat rakh lo ki vo bichare uske boj se uthakar jindgi hi na jii paye........

thank you.............
Jyotika Bariya