सोमवार, 10 फ़रवरी 2014

mere aaj ka khayal..

meri soch,
muje paheli bar laga aaj ki me jo kuch bhi sochti hu vo khayal muje share karne chiye isliye mene ye meri soch namka blog banaya hey .  aaj kal kisi ke pas kisi ke liye time nhi hota hamesha ghadi ke kante ke sath sabhi dodte rahete  kuch logo ko toh ye bhi pata nhi ki unke padosi kon hey ya fir aaj kal kon si movie nayi aayi hey .... bacche padhai ki tension me maa-papa ko time nahi de pate ya toh fir maa-papa jindgi ki gadi doda ne ke liye baccho ko time nahi de pate ... generation gap isi se badhta hey bacche aur bade dono ki soch me tabhi difference aata hey .... muje lagata hey ki ghar me apne parivar ke liya samay nikalna hi chiye  isse bhut badi badi problems solve ho jati hey.. agar yakin na aaye toh aajma ke dekh lijiye aur ek sukun bhi milta hey apno ke pass baith ke... so, baccho se yahi khena chugi ki maa-baap bhagvan ke barabar hote hey aur maa-baap se khena chahti hu ki bacche phulo ki tarah hote hey  unse itni bhi expectation mat rakh lo ki vo bichare uske boj se uthakar jindgi hi na jii paye........

thank you.............
Jyotika Bariya

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें